Cover art for Lata Mangeshkar & Kishore Kumar - Salame Ishq Meri Jaan (Romanized) by Genius Romanizations

Lata Mangeshkar & Kishore Kumar - Salame Ishq Meri Jaan (Romanized)

Dec. 1, 19781 viewer89.8K views

Lata Mangeshkar & Kishore Kumar - Salame Ishq Meri Jaan (Romanized) Lyrics

[Verse 1: Lata Mangeshkar]
Ishq walon se na poocho
Ke unki raat ka aalam tanha kaise guzarta hai
Juda ho humsafar jiska wo usko yaad karta hai
Na ho jiska koi, wo milne ki fariyad karta hai

[Chorus: Lata Mangeshkar]
Salaam-e-ishq meri jaan zara kubool kar lo
Salaam-e-ishq meri jaan zara kubool kar lo
Tum humse pyar karne ki zara si bhool kar lo
Mera dil bechain hai
Mera dil bechain hai humsafar ke liye
Mera dil bechain hai humsafar ke liye

Salaam-e-ishq meri jaan zara kubool kar lo
Salaam-e-ishq meri jaan zara kubool kar lo
Tum humse pyar karne ki zara si bhool kar lo
Mera dil bechain hai
Mera dil bechain hai humsafar ke liye
Mera dil bechain hai humsafar ke liye

[Verse 2: Lata Mangeshkar]
Main sunaaun tumhe baat ik raat ki
Main sunaaun tumhe baat ik raat ki
Chaand bhi apni poori jawani pe tha
Dil mein toofan tha, ek armaan tha
Dil ka toofan apni rawani pe tha
Ek baadal udhar se chala jhoomke
Ek baadal udhar se chala jhoomke
Dekhte-dekhte chaand par chha gaya
Chaand bhi kho gaya uski aaghosh mein
Uff ye kya ho gaya josh hi josh mein
Mera dil dhadka
Mera dil tadpa kisi ki nazar ke liye
Mera dil tadpa kisi ki nazar ke liye
[Chorus: Lata Mangeshkar]
Salaam-e-ishq meri jaan zara kubool kar lo

[Bridge: Kishore Kumar]
Haan-haan-haan-haan
Haan-haan-haan-haan

[Verse 2: Kishore Kumar]
Iske aage ki ab daastan mujhse sun
Sunke teri nazar dab-daba jayegi
Baat dil ki jo ab tak tere dil mein thi
Mera davaa hai honthon pe aa jayegi
Tu maseeha mohabbat ke maaron ka hai
Maseeha, maseeha mohabbat ke maaron ka hai
Tu maseeha mohabbat ke maaron ka hai
Hum tera naam sunke chale aaye hai
Ab dawa de humein ya tu dede zehar
Teri mehfil mein yeh diljale aaye hai
Ek ehsaan kar, ehsaan kar
Ek ehsaan kar apne mehmaan par
Apne mehmaan par ek ehsaan kar
De duayein
De duayein tujhe umr bhar ke liye
De duayein tujhe umr bhar ke liye

[Chorus: Lata Mangeshkar]
Salaam-e-ishq meri jaan zara kubool kar lo
Salaam-e-ishq meri jaan zara kubool kar lo
Tum humse pyar karne ki zara si bhool kar lo
Mera dil bechain hai humsafar ke liye
Mera dil bechain hai humsafar ke liye

How to Format Lyrics:

  • Type out all lyrics, even repeating song parts like the chorus
  • Lyrics should be broken down into individual lines
  • Use section headers above different song parts like [Verse], [Chorus], etc.
  • Use italics (<i>lyric</i>) and bold (<b>lyric</b>) to distinguish between different vocalists in the same song part
  • If you don’t understand a lyric, use [?]

To learn more, check out our transcription guide or visit our transcribers forum

About

Have the inside scoop on this song?
Sign up and drop some knowledge

Q&A

Find answers to frequently asked questions about the song and explore its deeper meaning

Credits
Release Date
December 1, 1978
Lata Mangeshkar & Kishore Kumar - Salame Ishq Meri Jaan (Romanized) Is A Translation Of
Tags
Comments